2:51
|
19:41
|
12:44
|
3:27
|
8:31
|
Apnay bachon ko Khuda Shinaas kaisay banahein? | Moulana Ghulam Qasim | Moulana Syed Ali Aqib - Urdu
Apnay bachon ko Khuda Shinaas kaisay banahein ? || Short Clip || Moulana Dr. Ghulam Qasim Tasnimi & Moulana Syed Ali Aqib Jaffry
Venue: Anjuman-e-Mohammadi IC&RC, Mohammadi Masjid, Hali...
Apnay bachon ko Khuda Shinaas kaisay banahein ? || Short Clip || Moulana Dr. Ghulam Qasim Tasnimi & Moulana Syed Ali Aqib Jaffry
Venue: Anjuman-e-Mohammadi IC&RC, Mohammadi Masjid, Hali Road, Gulberg III, Lahore.
✅ Our official Youtube Channel:
https://www.youtube.com/channel/UC8KG-nBXj49_LHLClnZbwHQ
✅ Our official Facebook Page:
https://www.facebook.com/ICRCAnjumaneMuhammadi/
✅ Join Our Official Whatsapp Group
https://chat.whatsapp.com/DesbHcNY2zgLuWMaMCkO04
#AnjumaneMohammadi #ICRC #MohammadiMasjid #ShortClips
More...
Description:

12:52
|
3:35
|
Description of Yazeeds wife "Hind" [URDU]
Qafla-e-Hussaini ko Damishq laye janay ke kuch dinon baad aik aurat Yazeed ki biwi Hind k pass ayi aur kaha:
"Kuch qaidi laye gaye hain jin mein aksariat aurton ki hai. Lakin mujhe maloom nahin...
Qafla-e-Hussaini ko Damishq laye janay ke kuch dinon baad aik aurat Yazeed ki biwi Hind k pass ayi aur kaha:
"Kuch qaidi laye gaye hain jin mein aksariat aurton ki hai. Lakin mujhe maloom nahin k wo kon hain. behtar hai k aap ayen aur haqeeqat maloom karein".
Hind Uthi aur Umda libaas pehna, chaadar orhi aur khaadma ko hukm dia k qaid-khanay mein us k liay kursi lagayi jaye.
Hind Kursi per baith gayi.
Bibi Zainab(S.A) ne ghaur se is aurat ki taraf dekha tou pehchaan lia k ye Hind binte Abdullah hai, jo arsa pehlay Ameer-ul-Momineen(A.S) k ghar mein khaadma thi.
Bibi Zainab(S.A) ne Bibi Umm-e-Kulsoom(S.A) se farmaya:
"Kia aap ne pehchaana, ye Hind Binte Abdullah hain"
Donon bibion ne khaamoshi se apnay saron ko neechay jhuka lia ta-k Hind un ki taraf mutawajja na ho. Lakin Hind ghaur se bibion ko dekh rahi thi, is liay agay barh kar pucha:
"Behen, aap donon ne apas mein guftugoo kar k apnay saron ko jhuka lia, kia koi khaas baat hai?"
Bbion ne koi jawab na dia.
Hind: "Behen, aap kis ilaaqay se hain?"
Sani-e-Zahra(S.A) khamosh na reh sakeen aur farmaya:
"Hum Madina k rehnay walay hein".
Hind ne suna tou ahtraman khari ho gayi aur kaha:
"Kia aap Madina walon ko jaanti hain!?"
Zainab(S.A): "Aap kin Madina walon k mutalliq daryaft karna chahti hain?"
Hind: "Mein apnay aaqa Imam Ali(A.S) k gharanay k mutalliq daryaft karna chahti hun"
Zainab(S.A): "Tum ALI(A.S) k gharaanay ko kaisay jaanti ho?"
Hind (Imam ki yaad mein ashk-bar hotay huay):
"Mein us ghar mein khaadma thi, aur kaam kia karti thi. Mujhe Us ghar se bauhat muhabbat hai"
Zainab(S.A): Tum Us ghar k kin afraad ko jaanti ho?
Hind: Mein Imam Ali(A.S) ki aulaad ka haal maloom karna chahti hun. Mein Hussain(A.S), Aulaad-e-Hussain(A.S) aur Imam ki paak-baaz sahabzaadion ka haal ahwaal aur khairiat maloom karna chahti hun.
Zianab(S.A) - rotay huay:
"Aye Hind! Agar Aal-e-Ali k mutalliq puchti ho tou suno!
Hum(Aulaad-e-Ali) Madina chor chukay hain aur Un ki Aal ki shahadaton ki khabar Madina pohnchaanay k muntazir hein.
Agar HUSSAIN ki haalat se ba-khabar hona chahti ho tou suno! Yazeed k samnay jo ser maujood hai jis se wo lutf-andoz hota hai, wo HUSSAIN ka ser hai.
Agar ABBAS-e-JARRI ka puchti ho tou hum un k Jism k tukray aur BE-SER laashay sarzameen-e-Karbala per chor aanay per majboor kar diay gaye!
Agar Aulaad-e-Hussain ka puchti ho tou wo beemaar naujawan jo shuddat-e-dard ki waja se chalnay per qaadir nahin hai, wohi Hussain k betay ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S) hein!
Agar Banaat-e-Ali ka puchti ho, tou MEIN hi ZAINAB BINTE ALI, aur ye UMM-e-KUSLOOM hain.
Hind rotay huay: Wa Amma! Wa Sayyada! Wa Hussaina!
Kaash! Kaash mein andhi hoti Banaat-e-Fatima(S.A) ko is haalat mein na dekhti!
Shuddat-e-Jazbaat mein Hind ne aik pathar apnay ser per maara, jis se khoon jaari hua aur wo ghash kha gayi.
Hind ne Zainab(S.A) ko apnay sarhaanay paaya, jo us se farma rahi theen:
"Hind! utho apnay ghar jao! Aisa na ho tera shauhar Yazeed tujh per ghazab-naak ho!"
Hind: "Khuda ki qasam! Jub tak Aba-Abdullah Hussain ka matam na kar lun, aur Aap Hashmi khawateen ko ghar na le jaun, mein wapas na jaun gi!"
Hind uthi, libaas chaak kiay huay aur ser-barahna Yazeed k pass ayi jo darbaar mein damishq k wuzra aur hawaarion k darmiaan betha hua tha.
Hind: Aye Yazeed! Kia tu ne Ser-e-muqaddas-e-Hussain, farzand-e-Rasool ko darwaza k kinaaray NAIZAY per latkaanay ka hukm dia hai!?
Yazeed jo saltanat, aish o ishrat ka taaj pehnay takht per takkia lagaye baitha tha, achaanak apni zauja ki ghier-mardon k samnay ye haalat dekhi tou maaray gairat k apni jagah se utha aur usay chaadar urhaatay huay bola:
"Khuda lanat karay Ibn-e-Ziyad per, jis ne jald-baazi ki aur Hussain(A.S) ko qatal kia!"
Hind: "Aye Yazeed! Waaye ho tujh per! Meray mutalliq GHAIRAT se kaam letay ho!
Dukhtar-e-Rasool Zahra(S.A) ki betion k mutalliq teri ghairat kaha gayi!?
Tu ne un ki chaadarain cheeneen, aur un muqaddas khawateen ko gali kocha o bazaar mein aashkaar kia, aur unhein zindaanon mein qaid kar k khud chain o sukoon ki neend sona chahtay ho!
Khuda ki Qasam! Jub tak inhein meray saath nahin bhejo ge, mein tumharay ghar mein qadam nahin rakhun gi!"
Is waqiay aur apnay khilaaf aag ki tarah tezi se phailtay hui logon ki nafraton ki waja se yazeed pareshaan rehnay laga, aur usay ahsaas ho gaya k jis ALLAH aur RASOOL k naam ko dabanay aur Jis Deen k khaatmay k khuwab Us k baap daada ne dekhay thay, wo Aal-e-Rasool ko qatal kar k bhi buri tarah nakaam ho raha hai aur qareeb hai k jazbaat aur nafrat mein koi us k khilaaf baghaawat khari kar k us ka khaatma kar de lihaaza bil-aakhir wo Aseeraan-e-karbala se buri tarah wehshat khaanay laga, aur kuch din pehlay tak jin ka mazaq uraya karta tha, aur un se lutf andoz hota tha, ko Riha karnay k baray mein sochnay laga, ta-k us ki hakoomat bachi rahay.

3:41
|
Ahle Sunnat Aalim Kabhi Bhi Banddokh Ki Nok Per Islam Nahin Pehla Hay - Peace Shia Sunni Unity - Urdu
Ahle Sunnat Aalim \"Tehrik Taliban Pakistan Nay Ahle Sunnat Kay Qoakaf Ko Qubool Kar Lia Hay. Hum Yeh Samjhtay Hain Kay Bismillah Karain Aien Ap Apnay Hatiyar Rakhain Aur Hum Baithay Hain Iss...
Ahle Sunnat Aalim \"Tehrik Taliban Pakistan Nay Ahle Sunnat Kay Qoakaf Ko Qubool Kar Lia Hay. Hum Yeh Samjhtay Hain Kay Bismillah Karain Aien Ap Apnay Hatiyar Rakhain Aur Hum Baithay Hain Iss Mein Hum Hukumat E Waqt Se Aur Security Idaron Se Bhi Appeal Kartay Hain Kay Aiye Ap Bhi Bismillah Karain Hum Aik Jaga Per Baithtay Hain Humara Ahle Sunnat Ka Moaqaf Yeh Hay. Tehrik Taliban Ki Taraf Se Jitnay Bhi Iqdamaat Kiye Jarahay Hain Jaisa Kay Masajid Madaris Ko, Jaisa Kay Security Idaron Ko, Aqeeliyaton Ko, Aur Aam Shehrion Ko Nishana Banatay Hain. Hum Yeh Samjhtay Hain Keh Yeh Jihad Nahin Hay. Yeh Fasad Fil Arz Hay Aur Iss ko Hat Kar Ab Aman Ki Taraf Jana Chahiye Aur Hum Yeh Samjhtay Hain Kay Yeh Taliban Ka Yeh Iqdam Bilkul Shariyat Kay Munafi Hay. Yeh Bilkul Bhi Jihad Nahin Hay. Apni Khoish Saahat Ko Jihad Ka Nam Dey Lain. Apnay Tarzay Amal Ko Islam Ka Nam Dey Lain Tou Yeh Kisi Soraat Bhi Munasib Nahin Hoga. Albata Aaj Jo Baat Ki Hay Keh Unay Ahle Sunnat Kay Qoaqaf Ko Qubool Kiya Aur Hamara Challenge Jo Manazaray Ka Tha Uss Ko Acept Karlia Tou Iss Mein Bari Khoshi Ki Baat Hay Ab Hukumat Ko Apni Zimaydari Pori Karni Chahiye. Security Idaron Ko Apni Zimaydari Pori Karni Chahiye... .... .........
.......Kabhi Bhi Banddokh Ki Nok Per Islam Nahin Pehla Hay. Kabhi Bhi Talwar Kay Zor Per Islam Ki Dawat Nahin Di Gai Hay. Kabhi Bhi Apnay Moaqif Ko Banddokh Ki Nok Se Nahin Manwaya Giya. Han Taliban Apni Baat Imposed Karahay Hain Yeh Theek Nahin Hay. Taliban Dehshatgerdi Ka Bazar Garam Kiye Hoa Hain Samjhtay Hain Yahi Quran Aur Hadees Kay Mutabiq Hay. Hum Unko Challenge Ki Aiye Quran Aur Hadees Ki Roshani Mein Hamary Ulema Kay Sath Baithain Lahore Hay Pakistan Kay Kisi Khitay Mein Baithain Islamabad Quetta Peshawer Karachi Jahan Ap Ka Gi Chahay Ab Ap Bismillah Karain Waqat Dain Jaga Batain Aur Hukumat Iss kay Liye Monasib Iqdamat Karay.\"

0:39
|
dua e marefate imam recited by syedeh sussan zare
As Salam Alaikum,Please upload dua e marefate Imam on your website..Thankyou.
Syed Hassan Zare
DUA-E-MARIFAT:
Please Read this Dua as much as possible and let us teach our young ones also so...
As Salam Alaikum,Please upload dua e marefate Imam on your website..Thankyou.
Syed Hassan Zare
DUA-E-MARIFAT:
Please Read this Dua as much as possible and let us teach our young ones also so that they will always be guided in life by Allah swt,our Holy Prophet s.a.w.s peace be upon him and the Hujjat and the Vicergent of Allah s.w.t on earth Imam Mahdi a.t.f.s.who is Our 'RAHBARE DUNIYA WA DEEN'
Ya Allah, Tu mujhay Apni Zaat ko pehchanwa dey, kyun kay agar Tu ne mujhay Apni Zaat ko nahi pehchanwaya tou mein Teray Rasoolallah SAWAW ko nahi pehchan sakon ga.
Ya Allah, Tu mujhay Apnay Rasoolallah SAWAW ko pehchanwa dey, kyun kay agar Tu ne mujhay Apni Rasoolallah SAWAW ko nahi pehchanwaya tou mein Teri Hujjat ASWS ko nahi pehchan sakon ga.
Ya Allah, Tu mujhay Apni Hujja ASWS ko pehchanwa dey, kyun kay agar Tu ne mujhay Apni Hujjat ASWS ko nahi pehchanwaya tou mein apnay Deen se behak jaon ga.
"O Allah introduce Your self to me
For,if you do not introduce Your self to me, I will not recognize Your Prophet (saws).
O Allah make me recognize Your Prophet(saws)
because if I do not recognize Your Prophet (saws),I will not recognize Your Proof [Imam (as)].
For,if you do not make me recognize Your Proof,I will deviate from my religion"
Maula Ali (ASWS) said:
When I want to talk to the Almighty Allah, I offer Namaz
When I want the Almighty Allah to talk with me, I read Quran-e-Pak
Rabbay Sallay Ala Muhammadin Wa Aal-e-Muhammadin Wa-Ajjil Farajahum, Ajjal Allah o Ta'alah Farajak Wa Sehal Allaho Ta'alah Makhrajak Wa Zahoorak Wa Rehmatullah-e-Wa-Barakatahu

6:48
|
No Need to teach Maatam - All Languages
Naam Abbas(as)ka likh kar jo pehna deta hai,
Us ke bachon ko khuda sher bana deta ha,
Apnay bachon ko sikha tay nahi matam hum log,
Naam Abbas(as) ka khud hath utha deta hai.

24:32
|
[DuaeMakarimulIkhlaq Lesson 81] - Dosron ko apnay ooper tarjih daina - SRK - Urdu
Lectures delivered by Moulana Shahid Raza Kashfi under the main heading of EXPLANATION OF DUA E MUKARIM UL AKHLAQ. This series of lessons is presented by Shaheed Mutahheri Forum, Karachi. URL :...
Lectures delivered by Moulana Shahid Raza Kashfi under the main heading of EXPLANATION OF DUA E MUKARIM UL AKHLAQ. This series of lessons is presented by Shaheed Mutahheri Forum, Karachi. URL : www.sm-forum.org EMAIL:
[email protected]

[Clip] علماء کیوں متحد نہیں ہوتے؟ Ustaad Jawad Naqvi - Urdu
ulama k andar ilmi jang ko b khatam kiya ja sakta hai, aqeedati jang b khatam ho sakti hai or nazariati jang b khatam ho sakti hai pir kiyon muttahid nahi hotay. ?? uski waja hai ikhlaqi kamzoriyan...
ulama k andar ilmi jang ko b khatam kiya ja sakta hai, aqeedati jang b khatam ho sakti hai or nazariati jang b khatam ho sakti hai pir kiyon muttahid nahi hotay. ?? uski waja hai ikhlaqi kamzoriyan jo insaan ko andar say maghloob kar daiti hain. jab hamaray andar khud khuwahi or anaa aa jati hai tab aik hi imaam k pairokaar alag alag raston par chalnay lagtay hain. yai rasta tarbiat say hal hoga. yai rasta jihad akbar say tay hoga. ham us waqt ghalbay say bahir ayengay jab apnay andar say maghloobiat ki jang jeet jayengay. imam khumaini nay apni kitab jihad akbar mai is baat ka zikar kiya gaya hai.
Syed Agha Jawad Naqvi\'s Majalis from 11th - 20th Safar 1433 being held at IRC

5:47
|
6:39
|
10:07
|
87:53
|
0:45
|
Video Tags:
Saudiyou,,Ko,,Tehran,,Main,,Apnay,,Sfaratkhanay,,Kay,,Moienay,,Kay,,Liye,,Visa,,Jari,,Sahar,,Urdu,,News
1:30
|
Video Tags:
Iran,,Apnay,,Sabhi,,Hamsaya,,Mulkon,,Kay,,Sath,,Tawun,,Karny,,Ko,,Tiyyar,,Sahar,,Urdu,,News
7:02
|
Video Tags:
Armica,,Ko,,Apnay,,FAuji,,Adday,,Eleqy,,Say,,Dor,,Lay,,Jany,,Hoon,,Gay,,Sahar,,Urdu,,News
2:35
|
Video Tags:
Elaqay,,Kay,,Mumalik,,Apnay,,Ikhtlafat,,Bat,,Cheet,,Kay,,Zaryee,,Hal,,Karin,,Sahar,,Urdu,,News
1:07
|
Video Tags:
Qatar,,Nay,,Saudi,,Ararb,,Say,,Apnay,,Sheriyou,,Ki,,Rehaie,,Ka,,Mutalba,,Ker,,dia,,Sahar,,Urdu,,News
8:51
|
Video Tags:
Iran,,Aur,,Iraq,,Kay,,Sath,,Apnay,,Taluqat,,Per,,Fakhar,kertay,,hain,,Shami,,Sadar,,Sahr,,urdu,,News