Description of Yazeeds wife "Hind" [URDU]
Qafla-e-Hussaini ko Damishq laye janay ke kuch dinon baad aik aurat Yazeed ki biwi Hind k pass ayi aur kaha:
"Kuch qaidi laye gaye hain jin mein aksariat aurton ki hai. Lakin mujhe maloom nahin...
Qafla-e-Hussaini ko Damishq laye janay ke kuch dinon baad aik aurat Yazeed ki biwi Hind k pass ayi aur kaha:
"Kuch qaidi laye gaye hain jin mein aksariat aurton ki hai. Lakin mujhe maloom nahin k wo kon hain. behtar hai k aap ayen aur haqeeqat maloom karein".
Hind Uthi aur Umda libaas pehna, chaadar orhi aur khaadma ko hukm dia k qaid-khanay mein us k liay kursi lagayi jaye.
Hind Kursi per baith gayi.
Bibi Zainab(S.A) ne ghaur se is aurat ki taraf dekha tou pehchaan lia k ye Hind binte Abdullah hai, jo arsa pehlay Ameer-ul-Momineen(A.S) k ghar mein khaadma thi.
Bibi Zainab(S.A) ne Bibi Umm-e-Kulsoom(S.A) se farmaya:
"Kia aap ne pehchaana, ye Hind Binte Abdullah hain"
Donon bibion ne khaamoshi se apnay saron ko neechay jhuka lia ta-k Hind un ki taraf mutawajja na ho. Lakin Hind ghaur se bibion ko dekh rahi thi, is liay agay barh kar pucha:
"Behen, aap donon ne apas mein guftugoo kar k apnay saron ko jhuka lia, kia koi khaas baat hai?"
Bbion ne koi jawab na dia.
Hind: "Behen, aap kis ilaaqay se hain?"
Sani-e-Zahra(S.A) khamosh na reh sakeen aur farmaya:
"Hum Madina k rehnay walay hein".
Hind ne suna tou ahtraman khari ho gayi aur kaha:
"Kia aap Madina walon ko jaanti hain!?"
Zainab(S.A): "Aap kin Madina walon k mutalliq daryaft karna chahti hain?"
Hind: "Mein apnay aaqa Imam Ali(A.S) k gharanay k mutalliq daryaft karna chahti hun"
Zainab(S.A): "Tum ALI(A.S) k gharaanay ko kaisay jaanti ho?"
Hind (Imam ki yaad mein ashk-bar hotay huay):
"Mein us ghar mein khaadma thi, aur kaam kia karti thi. Mujhe Us ghar se bauhat muhabbat hai"
Zainab(S.A): Tum Us ghar k kin afraad ko jaanti ho?
Hind: Mein Imam Ali(A.S) ki aulaad ka haal maloom karna chahti hun. Mein Hussain(A.S), Aulaad-e-Hussain(A.S) aur Imam ki paak-baaz sahabzaadion ka haal ahwaal aur khairiat maloom karna chahti hun.
Zianab(S.A) - rotay huay:
"Aye Hind! Agar Aal-e-Ali k mutalliq puchti ho tou suno!
Hum(Aulaad-e-Ali) Madina chor chukay hain aur Un ki Aal ki shahadaton ki khabar Madina pohnchaanay k muntazir hein.
Agar HUSSAIN ki haalat se ba-khabar hona chahti ho tou suno! Yazeed k samnay jo ser maujood hai jis se wo lutf-andoz hota hai, wo HUSSAIN ka ser hai.
Agar ABBAS-e-JARRI ka puchti ho tou hum un k Jism k tukray aur BE-SER laashay sarzameen-e-Karbala per chor aanay per majboor kar diay gaye!
Agar Aulaad-e-Hussain ka puchti ho tou wo beemaar naujawan jo shuddat-e-dard ki waja se chalnay per qaadir nahin hai, wohi Hussain k betay ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S) hein!
Agar Banaat-e-Ali ka puchti ho, tou MEIN hi ZAINAB BINTE ALI, aur ye UMM-e-KUSLOOM hain.
Hind rotay huay: Wa Amma! Wa Sayyada! Wa Hussaina!
Kaash! Kaash mein andhi hoti Banaat-e-Fatima(S.A) ko is haalat mein na dekhti!
Shuddat-e-Jazbaat mein Hind ne aik pathar apnay ser per maara, jis se khoon jaari hua aur wo ghash kha gayi.
Hind ne Zainab(S.A) ko apnay sarhaanay paaya, jo us se farma rahi theen:
"Hind! utho apnay ghar jao! Aisa na ho tera shauhar Yazeed tujh per ghazab-naak ho!"
Hind: "Khuda ki qasam! Jub tak Aba-Abdullah Hussain ka matam na kar lun, aur Aap Hashmi khawateen ko ghar na le jaun, mein wapas na jaun gi!"
Hind uthi, libaas chaak kiay huay aur ser-barahna Yazeed k pass ayi jo darbaar mein damishq k wuzra aur hawaarion k darmiaan betha hua tha.
Hind: Aye Yazeed! Kia tu ne Ser-e-muqaddas-e-Hussain, farzand-e-Rasool ko darwaza k kinaaray NAIZAY per latkaanay ka hukm dia hai!?
Yazeed jo saltanat, aish o ishrat ka taaj pehnay takht per takkia lagaye baitha tha, achaanak apni zauja ki ghier-mardon k samnay ye haalat dekhi tou maaray gairat k apni jagah se utha aur usay chaadar urhaatay huay bola:
"Khuda lanat karay Ibn-e-Ziyad per, jis ne jald-baazi ki aur Hussain(A.S) ko qatal kia!"
Hind: "Aye Yazeed! Waaye ho tujh per! Meray mutalliq GHAIRAT se kaam letay ho!
Dukhtar-e-Rasool Zahra(S.A) ki betion k mutalliq teri ghairat kaha gayi!?
Tu ne un ki chaadarain cheeneen, aur un muqaddas khawateen ko gali kocha o bazaar mein aashkaar kia, aur unhein zindaanon mein qaid kar k khud chain o sukoon ki neend sona chahtay ho!
Khuda ki Qasam! Jub tak inhein meray saath nahin bhejo ge, mein tumharay ghar mein qadam nahin rakhun gi!"
Is waqiay aur apnay khilaaf aag ki tarah tezi se phailtay hui logon ki nafraton ki waja se yazeed pareshaan rehnay laga, aur usay ahsaas ho gaya k jis ALLAH aur RASOOL k naam ko dabanay aur Jis Deen k khaatmay k khuwab Us k baap daada ne dekhay thay, wo Aal-e-Rasool ko qatal kar k bhi buri tarah nakaam ho raha hai aur qareeb hai k jazbaat aur nafrat mein koi us k khilaaf baghaawat khari kar k us ka khaatma kar de lihaaza bil-aakhir wo Aseeraan-e-karbala se buri tarah wehshat khaanay laga, aur kuch din pehlay tak jin ka mazaq uraya karta tha, aur un se lutf andoz hota tha, ko Riha karnay k baray mein sochnay laga, ta-k us ki hakoomat bachi rahay.
More...
Description:

[17 Nov 2013] Iran: P5 1 should attend November 20 meeting with goodwill - English
Iran\'s deputy foreign minister has described the upcoming nuclear talks with the five permanent members of the UN Security Council plus Germany as a test.
Majid Takht-e Ravanchi called on the...

Majid Takht-e Ravanchi called on the group to enter into negotiations with goodwill and avoid making unreasonable demands. The official also said Iran\'s nuclear issue has multiple and complicated aspects that are not expected to be fully resolved over a couple of meetings. A new round of talks over Iran\'s nuclear energy program is scheduled for November 20 in Geneva, Switzerland.

[17 Nov 2013] Tehran describes upcoming negotiation with P5 1 as test - English
Iran\'s deputy foreign minister has described the upcoming nuclear talks with the five permanent members of the UN Security Council plus Germany as a test.
Majid Takht-e Ravanchi called on the...
Iran\'s deputy foreign minister has described the upcoming nuclear talks with the five permanent members of the UN Security Council plus Germany as a test.
Majid Takht-e Ravanchi called on the group to enter into negotiations with goodwill and avoid making unreasonable demands. The official also said Iran\'s nuclear issue has multiple and complicated aspects that are not expected to be fully resolved over a couple of meetings. A new round of talks over Iran\'s nuclear energy program is scheduled for November 20 in Geneva, Switzerland. The two sides failed to reach a deal during the previous round held earlier this month. Tehran blames a division among members of the sextet for the failure.

اے اللہ ہمیں چمکتا چہرہ دکھا دے | عربی ترانہ/اردو سبٹائٹل | Arabic Sub Urdu
وقت کے فرعونوں اور جابر حکمرانوں کے تخت و تاج و سلطنت کی بساط لپیٹ کر عدل و انصاف کی حکومت قائم کر کے پوری دنیا...
وقت کے فرعونوں اور جابر حکمرانوں کے تخت و تاج و سلطنت کی بساط لپیٹ کر عدل و انصاف کی حکومت قائم کر کے پوری دنیا پر توحید کا پرچم لہرانے والے حُجَّتِ دَوراں، صاحب العصر و الزمان، ابوالقاسم، حُجَّتِ بن الحسن العسکریؑ حضرت مہدی موعود (عج) سے اظہارِ عشق کی خاطر دعائے عہد اور دعائے ندبہ کے بہترین اقتباسات پر مشتمل یہ ترانہ ظرور ملاحظہ فرمائیں ۔
#اجتماع_القلوب #دلوں_کا_ملاپ #عربی_ترانہ #اللھم #غیب #طلوع #صاحب_الزمان #عقیدہ #انبیا #کربلا #انتقام #ناحق_خون #ذی_طوی #یمنی_ترانا

پاکستان اور پاکستانی حکمران | شہید علامہ عارف حسین الحسینی رضوان اللہ علیہ | Urdu
پاکستان کا مطلب کیا لا الہ الا اللّہ
سفیرِ ولایت شہید علامہ عارف حسین الحسینی رضوان اللّہ علیہ پاکستان...
پاکستان کا مطلب کیا لا الہ الا اللّہ
سفیرِ ولایت شہید علامہ عارف حسین الحسینی رضوان اللّہ علیہ پاکستان بنانے کا مقصد اور پاکستانی حکمرانوں کے بارے میں کیا فرماتے ہیں؟ مسلمانوں نے پاکستان کس مقصد کے لیے بنایا تھا؟ کیا جس مقصد کیلئے پاکستان بنایا گیا تھا ہم نے وہ مقصد حاصل کر لیا، کس طبقے نے پاکستان کے اصل مقصد کو فراموش کر دیا ہے؟ ملکِ عزیز پاکستان کے حکمران فقط کس چیز کی خاطر اسلام کا نعرہ بلند کرتے ہیں؟ کیا جنرل ضیاء الحق اسلام کے نفاذ میں مخلص تھا؟ کیا ہمارے اکثر و بیشتر حکمرانوں کے گھروں میں، دفتروں میں اور اُن کی ذاتی زندگی میں اسلام پر عمل دکھائی دیتا ہے؟
اِن تمام سوالات کے جوابات شہید علامہ عارف حسین الحسینی کے خطاب کی روشنی میں مشاہدہ کرنے کے لیے اِس ویڈیو کو ضرور دیکھیں۔
#ویڈیو #پاکستان #پاکستانی_حکمران #پاکستان_کا_مطلب_کیا #نعرہ #مسلمان #فراموش #اقتدار #نشے #تخت #ضیاء_الحق

انقلابِ اسلامی اور یوم اللہ | امام سید علی خامنہ ای | Farsi Sub Urdu
انقلاب اسلامی کے دوران پہلوی حکومت کے تخت و تاج کو اکھاڑ پھینکنے میں ایک بڑا کردار، فضائیہ کا وہ جرات مندانہ...
انقلاب اسلامی کے دوران پہلوی حکومت کے تخت و تاج کو اکھاڑ پھینکنے میں ایک بڑا کردار، فضائیہ کا وہ جرات مندانہ اقدام تھا جو 19 بہمن (8 فروری 1979) میں رونما ہوا۔ 19 بہمن کو فوجی بغاوت کی افواہوں کے بعد فضائیہ کے مخلص اور پر عزم سپاہیوں نے قومی یکجہتی کا مظاہرہ کرتے ہوئے انقلاب اسلامی کو کامیابی سے ہمکنار کرنے کے لیے عوام کا ساتھ دینے کا اعلان کیا تھا اور یہ دن، انقلاب اسلامی اور مسلح افواج کی تاریخ میں ایک اہم موڑ تھا۔ چنانچہ اس دن کی اہمیت کے پیش نظر انقلاب اسلامی کے کلینڈر میں یوم فضائیہ کے عنوان سے منایا جاتا ہے۔
اس دن کس طرح فضائیہ نے شاہی نظام سے بغاوت کرتے ہوئے عوام کے ساتھ یکجہتی کا مظاہرہ کیا اور اس کے علاوہ اور کون کون سے واقعات رونما ہوئے؟
اس سلسلے میں تفصیل جاننے کے لیے ولی امر مسلمین سید علی خامنہ ای سمیت سابق فضائیہ کے افسران کے دلچسپ انٹرویوز کو اس ویڈیو میں ضرور ملاحظہ کیجیے۔
ویڈیو #ولی_امر_مسلمین #فضائیہ #افسران #طاغوت #حکومت #انقلاب #سرمایہ #شکست #ایران #امریکہ #امام_خمینی #محلاتی #نوجوان #سڑک